Be-barg meri in shaakhon pe mai gulo ko sajaye baitha hu…
Aaftaab me aise tapte hue kuchh khwab jalaye baitha hu…
Ye sham bhale kuchh ghamgeen hai, par subah nayi phir ayegi…
Kuchh aise hi khush-hal subah ki ummeed jagaye baitha hu…
Toofano me bhi ghir ghir kar kuchh aas bachaye baitha hu…
Us KHUDA ka hi ahsaan hai ye ahsaas jagaaye baitha hu…
Barbaad gulistaan hua hai par kal bulbul firse gayegi…
Bas aisi hi ummeed liye kuchh shaakh bachaye baitha hu…
Iftekhar Ahmad is a PhD student working under Dr. Bhupesh Taneja, having interest in protein biochemistry and structural biology. Apart from poetry, he likes playing basketball and cricket.